MAIN BAS KEHTI NAHI LYRICS KING | SECTION 8
Karti rehti intezaar tera
Tujhko na sharam aati hai
Na haya aati hai
Upar se itna hai kathor
Tujhko baatein na naram aati hai
Na daya aati hai
Dil se khelne ka hai shaiq bada
Kal raat poori tu bahut lada
Main kis’se kahun ke tu pehle jaisa nahi
Meri galtiyon to tu dekhe bada
Khud galtiyon pe tu poora khada
Main kis’se kahun ke tu baat sunta nahi
Kab kahaan jaata hai jo batata nahi
Woh bhi pata hai main bas kehti nahi
Chehra utra hua ab hasaata nahi
Kaisi saza hai? Main bas kehti nahi
Aakhari baar kab theek se ki thi baat
Isko pucho koyi maanta hi nahi
Upar se banta anjaan jaise mujhko to yeh
Jaanta hi nahi
Jhooth se khelne ka hai shauq bada
Khud vaadiyon mein tu pahunch gaya
Main kis’se kahun tu mere sath chalta nahi
Tujhpe zor mera ab chalta kahan
Mujhe dar hai kahin tu chhod gaya
Main kis’se kahungi tu mujhko hi samajhta nahi
Kab kuch kehta nahi kab sab keh jaata hai
Yeh bhi pata hai main bas kehti nahi
Rishta rootha hua ab manaata nahi
Kaisi raza hai? Main bas kehti nahi
Tujhe kuch pata tere bina
Kaisa beeta mera pal hai?
1 hafte se teri na khabar
Bata kahan aajkal hai?
Tu mujhko bhej koyi jawaab
Mera din bann jayega
Tu khudse baat karta nahi
Kya mera phone uthayega
Oh tujhko khelne ka hai shauq bada
Main zakhm dekhun tu karde mana
Sab dekh rahe ke tera ghaav chupta nahi
Tujhpe zor mera ab chalta kahan
Mujhe dar hai kahin tu chhod gaya
Main kisse kahungi tu mujhko hi samajhta nahi
Ab bata mujhko yeh apni choto se bhi
Koyi bacha hai? Tu bas kehta nahi
Dil hai toota hua yeh tujhe bhi pata
Mujhko bulaale khud sab sehte nahi
Kab kahaan jaata hai jo batata nahi
Woh bhi pata hai main bas kehti nahi
Chehra utra hua ab hasaata nahi
Kaisi sazaa hai? Main bas kehti nahi